Anuradha Paudwal – Sirf Khiladi Badal Gaya lyrics

sirf khiladi badal gaya baaki khel purana hai
aaj tumhaare zulm-o-sitam ka humko karz chukana hai
sirf khiladi badal gaya ...

kaisi duniya kaisi ulfat kaisi rishtedari
khaaq mein aaj mila denge jhuuthi shaan tumhari
iska lagta nasha na hoga munh ke bal gir jaaoge
maut ki jaan le ke hategi aaj jaan tumhari
sari baazi ulat gayi hai aaj tumhein harana hai
is kode ki taal pe dekho tumko khub nachanaa hai
sirf khiladi badal gaya ...

jo bhi diya hai karza tumne karz ada hum karte hain
saamne tum ho saamne hum hain phir na samjhana darate hain
stick se maar bhagaaen aisa zamana aa hi gaya
aaj tumhari haalat pe hum jhoom jhoom ke hanste hain
kal tak tumne hamein rulaya aaj tumhein rulana hai
vah hi ghar hai vo hi mandir dekho vahi thikana hai
aaj tumhaare zulm-o-sitam ...

Submitted by Guest