Chitra – Kachche Rang Utar Jaane Do lyrics
Chitra:
Kachche rang utar jaane do
Mausam hai guzar jaane do
Gulzar:
Woh kab tak intezar karti
Kohre mein khada hua pul to nazar aa raha tha
Lekin uske sire nazar nahin aate the
Kabhi lagta uske donon sire ek hi taraf hain
Aur kabhi lagta is pul ka koi sira nahin hai
Shaam bujh rahi thi aur aanewale ki koi aahat nahin thi kahin
Neeche behta dariya keh raha tha
Aao mere aaghosh mein aa jaao
Main tumhari badnaami ke saare daag chhupa loon
Mitti ke is shareer se bahut khel chuke
Is khilone ke rang ab utarne lage hain
Chitra:
(Kachche rang utar jaane do
Mausam hai guzar jaane do) -2
Nadi mein itna hai pani sab dhul jayega
Matti ka tila hai yeh ghul jayega
Itni si mitti hai nadiya ko behna hai
Nadiya ko behne do sare rang bikhar jaane do
Submitted by Guest
Top Chitra songs
- Piya Basanti Re
- Tum Bin Kya Hai Jeena
- Raat Humari Toh
- Chup Tum Raho Chup Ham Rahe
- Kehna Hi Kya Ye Nein Ik Anjaan Se Jo Mile
- Sanjana I Love You
- Chali Aayi Chali Aayi
- Kachche Rang Utar Jaane Do
- Ek Bagiya Mein
- Tu He Re Tu He Re
- Bani Bani Bani Re Bani
- Teri Yeh Pyaar Ki Khushboo
- Mera Dil Kehne Laga
- Tareef Us Khuda Ki
- O Ajnabee (Happy)