Jagjit Singh – Dard Ke Phool Bhi Khilte Hain lyrics
dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain -2
zaKhm kaise bhi hoN kuchh roz mein bhar jaate hain
dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain
us dariche mein bhi ab koi nahin aur ham bhi -2
sar jhukaaye huey chupchaap guzar jaate hain
raastaa roke khaDi hai yahi uljhan kabse -2
koi poochhe to kahen kyaa ki kidhar jaate hain
zaKhm kaise bhi hoN kuchh roz mein bhar jaate hain
dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain
naram aavaaz, bhali baaten muhazzab lahje -2
pahli baarish mein hi ye rang utar jaate hain -2
dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain
zaKhm kaise bhi hoN kuchh roz mein bhar jaate hain
dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain
Submitted by Guest
Top Jagjit Singh songs
- Jhuki Jhuki Si Nazar Bekarar
- Pyar Ka Pehla Khat Likhne Mein
- Honton Se Chhoo Lo Tum
- Koi Yeh Kaise Bataye Ke
- Gham Ka Khazana
- Kabhi Yoon Bhi To Ho
- Jab Saamne Tum Aa Jaate Ho
- kon kehta hai mohabbat ki zuban hoti hai
- Koyi Fariyaad Tere Dil Main
- Main Bhool Jaaoon Tumhen
- Sunte Hain Ke Mil Jaati Hai
- Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar
- Tum Baithe Ho Lekin
- Dono Hime shart
- Kothe te aa mahiya