Xulfi – Laree Chootie lyrics
woh kehte hain na, jo hota hai,
achche ke liye hota hai, galat kehte hain...
kismat ka khel hai saara
phirta tha main awara
yeh kya se kya ho gaya,
char din ki zindagani
har pal ek nayi kahani
kya tha main kya ban gaya,
kya hua jo laree choote
jeevan ki gadi looti
khwab hai to mujhko na jaga,
zindagi ek pal mein saari
yun palat gayi humari
jhoot hai to mujhko na bata!!!
mumbai,
suna tha yahan aadmi puri zindagi apni kismat
slow track se fast track main nikal deta hai,
par dhai ghante main meri kismat aise slow
track se fast track par aa jayegi,
Ye maine kabhi socha nahi tha,
Saaza maaza ban jayegi,
Ye bhi kabhi socha nahi tha,
last local kya chooti saala kismat patri par aa gayi!!!
karlo jo bhi karna hai
hota hai jo hona hai
guzra to pal yeh phir na ayega,
kya bura hai kya bhala hai
waqt hi shayad khuda hai
ho jane do phir dekha jayega,
kya hua jo laree choote
jeevan ki gadi looti
khwab hai to mujhko na jaga,
Zindagi ek pal mein saari
yun palat gayi hamari
jhoot hai toh mujhko na bata!
woh kehte hain na, jo hota hai,
achche ke liye hota hai, sehi kehte hain.