Lata Mangeshkar – Ai Mere Vatan Ke lyrics
ai mere vatan ke logo.n
tum khuub lagaa lo naaraa
ye shubh din hai ham sab kaa
laharaa lo tira.ngaa pyaaraa
par mat bhuulo siimaa par
viiro.n ne hai praaN ga.Nvaae
kuchh yaad unhe.n bhii kar lo -2
jo lauT ke ghar na aaye -2
ai mere vatan ke logo.n
zaraa aa.Nkh me.n bhar lo paanii
jo shahiid hue hai.n unakii
zaraa yaad karo qurabaanii
jab ghaayal huaa himaalay
khatare me.n pa.Dii aazaadii
jab tak thii saa.Ns la.De vo
phir apanii laash bichhaa dii
sa.ngiin pe dhar kar maathaa
so gaye amar balidaanii
jo shahiid...
jab desh me.n thii dIvaalii
vo khel rahe the holI
jab ham baiThe the gharo.n me.n
vo jhel rahe the golii
the dhanya javaan vo aapane
thii dhanya vo unakii javaanii
jo shahiid...
koii sikh koI jaaT maraaThaa
koii gurakhaa koI madaraasii
sarahad pe maranevaalaa
har viir thaa bhaaratavaasii
jo khuun giraa parvat par
vo khuun thaa hi.ndustaanii
jo shahiid...
thii khuun se lath-path kaayaa
phir bhii banduuk uThaake
das-das ko ek ne maaraa
phir gir gaye hosh ga.Nvaa ke
jab ant-samay aayaa to
kah gaye ke ab marate hai.n
khush rahanaa desh ke pyaaro.n
ab ham to safar karate hai.n
kyaa log the vo dIvaane
kyaa log the vo abhimaanii
jo shahiid...
tum bhuul na jaao unako
is liye kahii ye kahaanii
jo shahiid...
jay hind... jay hind kii senaa -2
jay hind, jay hind, jay hind
Top Lata Mangeshkar songs
- Lag Ja Gale
- Aaja Sanam Madhur Chandni Mein Hum
- Aapki Nazron Ne Samjha
- Ek Pyar Ka Nagma Hai
- Kaanta Laga (Original)
- Dikhayi Diye Yun
- Pardesiya Yeh Sach Hai Piya
- Lag Ja Gale Ki Phir
- Rangeela Re Tere
- Solah Baras Ki Baali Umar Ko Salaam
- Do Pal Ruka
- Naam Gum Jaayega
- Agar Tum Na Hote
- Karvatein Badalte Rahe Saari Raat Hum
- Main Chali Main Chali Dekho Pyar Ki Gali