Lata Mangeshkar – Ye Parbaton Ke Daayare lyrics
ye parbaton ke daayare ye shaam ka dhuaan
aise mein kyon na chhed den dilon ki daastaan
zara si zulf khol do fiza mein itr ghol do
nazar jo baat kah chuki vo baat munh se bol do
ki jhoom uthe nigaah mein bahaar ka samaan
ye parbaton ke daayare ...
ye chup bhi ek savaal hai ajeeb dil ka haal hai
har ik kayaal kho gaya bas ab yahi kayaal hai
ki faasala na kuch rahe hamaare darmiyaan
ye parbaton ke daayare ...
ye roop rang ye phaban chamakte chaand sa badan
bura na maano tum agar to choom loon kiran kiran
ki aaj hausalon mein hai bala ki garmiyaan
ye parbaton ke daayare ...
Submitted by Guest
Top Lata Mangeshkar songs
- Lag Ja Gale
- Aaja Sanam Madhur Chandni Mein Hum
- Aapki Nazron Ne Samjha
- Ek Pyar Ka Nagma Hai
- Kaanta Laga (Original)
- Dikhayi Diye Yun
- Pardesiya Yeh Sach Hai Piya
- Lag Ja Gale Ki Phir
- Rangeela Re Tere
- Solah Baras Ki Baali Umar Ko Salaam
- Do Pal Ruka
- Naam Gum Jaayega
- Agar Tum Na Hote
- Karvatein Badalte Rahe Saari Raat Hum
- Main Chali Main Chali Dekho Pyar Ki Gali