Mohammad Rafi – Kaise Haseen Aaz lyrics
kaisi haseen aaj bahaaron ki raat hai
ek chaand aasmaan pe hai ek mere saath
o dene waale toone to koi kamee na kee
ab kissko kya mila yeh muqaddar ki baat hai
chhaaya hai husn-o-ishq pe ek rang-e-bekhudi (2)
aate hai zindagi mein yeh aalam kabhi kabhi
har ghum ko bhool jaao khushi ki baaraat hai
ek chaand aasmaan pe hai ek mere saath
aayi hai woh bahaar ke naghme ubal pade
aisi khushi mili hai ke aansoo nikal pade
hothon pe hai duwaayeh magar dil pe haath hai
ab kissko kya mila yeh muqaddar ki baat hai
masti simat ke pyaar ke gulshan mein aa gayi (2)
meri khushi bhi aap ke daaman mein aa gayi
bhavra kali se door nahin saath saath hai
ab kissko kya mila yeh muqaddar ki baat hai
kaisi haseen aaj bahaaron ki raat hai
ek chaand aasmaan pe hai ek mere saath
Top Mohammad Rafi songs
- Dil Ke Jharoke Mein Tujko Bithakar
- Chand Mera Dil Chandni Ho
- Khilona Jaan Kar
- Isharo Isharo Mein Dil Lene
- Kya Hua Tera Wada
- Tumne Pukara Aur Hum Chale Aaye
- Aane Se Uske Aaye Bahaar
- Yeh Ladka Hai Allaah
- Yeh Chand Sa Roshan Chehra
- Aaj Mausam Bada
- Dafliwale Dafli Baja
- Teri Ankhon Ke Siva
- Aa Lag Ja Gale
- Aadmi Musafir Hai
- Tu Is Tarah Se Meri Zindagi Mein Shamil